umr-bhar ḳhvāb-e-mohabbat se na bedār hue
isī kirdār se ham sāhab-e-kirdār hue
kabhī kāñToñ kī jarāhat se bhī ārām milā
lāla-o-gul bhī kabhī bā.is-e-āzār hue
ādamiyat ke ḳhad-o-ḳhāl ko zīnat na milī
saare aa.iin faqat naqsh-ba-dīvār hue
haa.e vo husn kisī ne bhī na dekhā jis ko
haa.e vo raaz jo rusvā sar-e-bāzār hue
kitne dushman the zamāne meñ hamāre lekin
apnī hī hastī se ham barsar-e-paikār hue
dosto ek tumhārī bhī riyā-kārī se
ham ko honā thā ḳhabar-dār ḳhabar-dār hue
nauha-e-zāt kā ye bhī to ik andāz huā
ashk āñkhoñ meñ nahīñ aa.e to ash.ār hue
baat kuchh yuuñ hai ki himmat hī na haarī ham ne
mere pindār-e-ḳhudī par to bahut vaar hue
rañg-o-bū paañv kī zanjīr hue jaate haiñ
jā nasīm-e-saharī ham to giraftār hue
ham ki sar-garm-e-safar the rahe sar-garm-e-safar
marhale to kabhī āsāñ kabhī dushvār hue
ab to nā-qadrī-e-arbāb-e-hunar hai ai 'lais'
aap kyā soch ke is ahd meñ fankār hue
umr-bhar KHwab-e-mohabbat se na bedar hue
isi kirdar se hum sahab-e-kirdar hue
kabhi kanTon ki jarahat se bhi aaram mila
lala-o-gul bhi kabhi bais-e-azar hue
aadamiyat ke KHad-o-KHal ko zinat na mili
sare aain faqat naqsh-ba-diwar hue
hae wo husn kisi ne bhi na dekha jis ko
hae wo raaz jo ruswa sar-e-bazar hue
kitne dushman the zamane mein hamare lekin
apni hi hasti se hum barsar-e-paikar hue
dosto ek tumhaari bhi riya-kari se
hum ko hona tha KHabar-dar KHabar-dar hue
nauha-e-zat ka ye bhi to ek andaz hua
ashk aankhon mein nahin aae to ashaar hue
baat kuchh yun hai ki himmat hi na haari hum ne
mere pindar-e-KHudi par to bahut war hue
rang-o-bu panw ki zanjir hue jate hain
ja nasim-e-sahari hum to giraftar hue
hum ki sar-garm-e-safar the rahe sar-garm-e-safar
marhale to kabhi aasan kabhi dushwar hue
ab to na-qadri-e-arbab-e-hunar hai ai 'lais'
aap kya soch ke is ahd mein fankar hue
Leave a comment