Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laiq Aajiz

  • Ghazal


jab se meri taqdir ka Duba suraj


jab se mirī taqdīr kā Duubā sūraj
us roz se ab tak nahīñ dekhā sūraj

Dūbegā bahut jald ye chaḌhtā sūraj
is vāste maiñ ne nahīñ puujā sūraj

jab se tire chehre kī chamak dekhī hai
āñkhoñ ko mirī ik nahīñ jachtā sūraj

tārīkī se har shaḳhs ko fursat to milī
mere liye ab tak nahīñ niklā sūraj

kirnoñ ko vo bāzār meñ bech aayā hai
shāyad ki ka.ī din se thā bhūkā sūraj

tum ne to ka.ī logoñ ko bāñTe lekin
maiñ ne to kabhī ek na paayā sūraj

barsoñ se zamāne ko sahar de na sakā
hālāt meñ kuchh is tarah uljhā sūraj

aayā hai tasavvur meñ sar-e-shām koī
mere ufuq-e-zehn pe niklā sūraj

'ājiz' ko pareshān nahīñ kar saktā
aflāk-e-masā.ib kā ye taptā sūraj

jab se meri taqdir ka Duba suraj
us roz se ab tak nahin dekha suraj

Dubega bahut jald ye chaDhta suraj
is waste main ne nahin puja suraj

jab se tere chehre ki chamak dekhi hai
aankhon ko meri ek nahin jachta suraj

tariki se har shaKHs ko fursat to mili
mere liye ab tak nahin nikla suraj

kirnon ko wo bazar mein bech aaya hai
shayad ki kai din se tha bhuka suraj

tum ne to kai logon ko banTe lekin
main ne to kabhi ek na paya suraj

barson se zamane ko sahar de na saka
haalat mein kuchh is tarah uljha suraj

aaya hai tasawwur mein sar-e-sham koi
mere ufuq-e-zehn pe nikla suraj

'ajiz' ko pareshan nahin kar sakta
aflak-e-masaib ka ye tapta suraj


Leave a comment

+