Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laiq Aajiz

  • Ghazal


mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat


mujhe to jo bhī milā hai azaab kī sūrat
mirī hayāt hai ik tishna ḳhvāb kī sūrat

havāo dil kī taraf ehtiyāt se jaanā
vajūd amn kā hai qaa.em hubāb kī sūrat

malāmateñ ġham-o-ālām fikr māyūsī
ye zindagī hai shikasta kitāb kī sūrat

ḳhud apnī kargasī fitrat se ho ga.e rusvā
vagarna tum bhī uThe the uqaab kī sūrat

kabhī falak to samundar kabhī uThā laayā
pasand donoñ ko hai āftāb kī sūrat

shaguftagī kī jagah jhurriyoñ ne le lī hai
hamārā chehra thā 'ājiz' gulāb kī sūrat

mujhe to jo bhi mila hai azab ki surat
meri hayat hai ek tishna KHwab ki surat

hawao dil ki taraf ehtiyat se jaana
wajud amn ka hai qaem hubab ki surat

malamaten gham-o-alam fikr mayusi
ye zindagi hai shikasta kitab ki surat

KHud apni kargasi fitrat se ho gae ruswa
wagarna tum bhi uThe the uqab ki surat

kabhi falak to samundar kabhi uTha laya
pasand donon ko hai aaftab ki surat

shaguftagi ki jagah jhurriyon ne le li hai
hamara chehra tha 'ajiz' gulab ki surat


Leave a comment

+