sajā rahegā añdheroñ se hī khañDar merā
ik ek kar ke huā ḳhatm ab safar merā
mirā mizāj mirā tarz-e-zindagī hai judā
na ho sakegā mire ghar meñ bhī guzar merā
jo kaam aa sake le jā mire aziiz abhī
ye tere sāmne hāzir hai aaj sar merā
qalam uThā.ūñ ki bachchoñ kī zindagī dekhūñ
paḌā huā hai dorāhe pe ab hunar merā
hai ḳhushk pattoñ kī mānind zindagī 'ājiz'
na ḳhāndān hai koī na koī ghar merā
saja rahega andheron se hi khanDar mera
ek ek kar ke hua KHatm ab safar mera
mera mizaj mera tarz-e-zindagi hai juda
na ho sakega mere ghar mein bhi guzar mera
jo kaam aa sake le ja mere aziz abhi
ye tere samne hazir hai aaj sar mera
qalam uThaun ki bachchon ki zindagi dekhun
paDa hua hai dorahe pe ab hunar mera
hai KHushk patton ki manind zindagi 'ajiz'
na KHandan hai koi na koi ghar mera
Leave a comment