Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kashif Husain Ghair

  • Ghazal


waqt mazdur hai ujrat dije


vaqt mazdūr hai ujrat diije
ek ik lamhe kī qīmat diije

mujh se ye bojh nahīñ uTh saktā
mashvara koī mujhe mat diije

hijr kī raat nahīñ Dhalne kī
ab charāġhoñ ko ijāzat diije

kaam kuchh dil ke haiñ kuchh duniyā ke
ik zarā sī mujhe mohlat diije

dil ko ābād hī karnā hai to phir
vahī dīvār vahī chhat diije

dil hai duniyā to nahīñ hai koī
jitnī chāhe ise vus.at diije

ḳhud bhī rakh sakte haiñ ham apnā ḳhayāl
kyā kisī aur ko zahmat diije

waqt mazdur hai ujrat dije
ek ek lamhe ki qimat dije

mujh se ye bojh nahin uTh sakta
mashwara koi mujhe mat dije

hijr ki raat nahin Dhalne ki
ab charaghon ko ijazat dije

kaam kuchh dil ke hain kuchh duniya ke
ek zara si mujhe mohlat dije

dil ko aabaad hi karna hai to phir
wahi diwar wahi chhat dije

dil hai duniya to nahin hai koi
jitni chahe ise wusat dije

KHud bhi rakh sakte hain hum apna KHayal
kya kisi aur ko zahmat dije


Leave a comment

+