Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kashif Husain Ghair

  • Ghazal


achanak kis ko yaad aai hamari


achānak kis ko yaad aa.ī hamārī
kahānī kis ne dohrā.ī hamārī

chalo aayā na aayā jaane vaalā
sadā to lauT kar aa.ī hamārī

guzishta shab havā se guftugū kī
charāġhoñ ne qasam khaa.ī hamārī

nazar aayā hai vo bīmār apnā
khulī jis par masīhā.ī hamārī

tirī ḳhushbū se hai ābād ab tak
ye bāġh-e-dil ye añgnā.ī hamārī

zamīñ ābād hotī jā rahī hai
kahāñ jā.egī tanhā.ī hamārī

achanak kis ko yaad aai hamari
kahani kis ne dohrai hamari

chalo aaya na aaya jaane wala
sada to lauT kar aai hamari

guzishta shab hawa se guftugu ki
charaghon ne qasam khai hamari

nazar aaya hai wo bimar apna
khuli jis par masihai hamari

teri KHushbu se hai aabaad ab tak
ye bagh-e-dil ye angnai hamari

zamin aabaad hoti ja rahi hai
kahan jaegi tanhai hamari


Leave a comment

+