bane haiñ kaam sab uljhan se mere
yahī atvār haiñ bachpan se mere
havā bhī pūchhne aatī nahīñ ab
vo ḳhushbū kyā ga.ī āñgan se mere
zamīñ hamvār ho kar rah ga.ī hai
uḌī hai dhuul vo dāman se mere
suno is dasht kā ham-zād huuñ maiñ
ye vāqif hai akele-pan se mere
havā-e-be-dilī bhī ḳhuub niklī
ḳhalish tak le uḌī jīvan se mere
bane hain kaam sab uljhan se mere
yahi atwar hain bachpan se mere
hawa bhi puchhne aati nahin ab
wo KHushbu kya gai aangan se mere
zamin hamwar ho kar rah gai hai
uDi hai dhul wo daman se mere
suno is dasht ka ham-zad hun main
ye waqif hai akele-pan se mere
hawa-e-be-dili bhi KHub nikli
KHalish tak le uDi jiwan se mere
Leave a comment