zindagī ko mo'atabar bhī kījiye
ġham ko merā ham-safar bhī kījiye
justujū hai achchhe din kī har taraf
ḳhuub se ab ḳhūb-tar bhī kījiye
hosh vaalo mai-kashī kaisī rahī
be-ḳhabar ko bā-ḳhabar bhī kījiye
de rahā huuñ vāsta terā karam
mere maulā darguzar bhī kījiye
zindagī ne ḳhuub 'ahsan' kar diyā
qissa-e-ġham muḳhtasar bhī kījiye
zindagi ko mo'atabar bhi kijiye
gham ko mera ham-safar bhi kijiye
justuju hai achchhe din ki har taraf
KHub se ab KHub-tar bhi kijiye
hosh walo mai-kashi kaisi rahi
be-KHabar ko ba-KHabar bhi kijiye
de raha hun wasta tera karam
mere maula darguzar bhi kijiye
zindagi ne KHub 'ahsan' kar diya
qissa-e-gham muKHtasar bhi kijiye
Leave a comment