vo misl-e-mauj-e-bahār apne shabāb kī samt aa rahe haiñ
diloñ ke ġhunche khilā rahe haiñ nazar kā dāman sajā rahe haiñ
har ek zarre meñ har fazā meñ vo husn ban kar samā rahe haiñ
hamārī tāb-e-nigāh ko vo har ā.īna aazmā rahe haiñ
hamāre aañsū sunā rahe haiñ shikasta dil kā fasāna un ko
magar qayāmat kī baat hai ye vo sun ke bhī muskurā rahe haiñ
dil-o-jigar ḳhuun ho chuke haiñ hamāre lab par magar hañsī hai
ham apne afsāna-e-vafā ko kuchh aur rañgīñ banā rahe haiñ
jo mahv-e-zulm-o-sitam thā kal tak vo aaj shāyad badal gayā ho
ye aarzū le ke ham dobāra kisī ke kūche meñ jā rahe haiñ
falak kā andāz kah rahā hai hamāre armāñ kā ḳhuun hogā
abhī to āġhāz-e-shab hai āḳhir sitāre kyuuñ jhilmilā rahe haiñ
hamārī qismat kā pher dekho talāsh-e-manzil meñ umr guzrī
magar jahāñ se chale the kashfī vahīñ pe ham ḳhud ko pā rahe haiñ
wo misl-e-mauj-e-bahaar apne shabab ki samt aa rahe hain
dilon ke ghunche khila rahe hain nazar ka daman saja rahe hain
har ek zarre mein har faza mein wo husn ban kar sama rahe hain
hamari tab-e-nigah ko wo har aaina aazma rahe hain
hamare aansu suna rahe hain shikasta dil ka fasana un ko
magar qayamat ki baat hai ye wo sun ke bhi muskura rahe hain
dil-o-jigar KHun ho chuke hain hamare lab par magar hansi hai
hum apne afsana-e-wafa ko kuchh aur rangin bana rahe hain
jo mahw-e-zulm-o-sitam tha kal tak wo aaj shayad badal gaya ho
ye aarzu le ke hum dobara kisi ke kuche mein ja rahe hain
falak ka andaz kah raha hai hamare arman ka KHun hoga
abhi to aaghaz-e-shab hai aaKHir sitare kyun jhilmila rahe hain
hamari qismat ka pher dekho talash-e-manzil mein umr guzri
magar jahan se chale the kashfi wahin pe hum KHud ko pa rahe hain
Source: Saaz-o-Naghma
Leave a comment