Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karrar Noori

  • Ghazal


dil hai chup bol raha ho jaise


dil hai chup bol rahā ho jaise
ḳhud meñ ġham ghol rahā ho jaise

ab vo yuuñ dekh rahā hai mujh ko
zarf ko tol rahā ho jaise

yuuñ jhijak jaatā huuñ kah ke har baat
baat meñ jhol rahā ho jaise

dil ko ab muft liye phirtā huuñ
pahle anmol rahā ho jaise

baat yuuñ karne lagā huuñ 'nūrī'
aa.ina bol rahā ho jaise

dil hai chup bol raha ho jaise
KHud mein gham ghol raha ho jaise

ab wo yun dekh raha hai mujh ko
zarf ko tol raha ho jaise

yun jhijak jata hun kah ke har baat
baat mein jhol raha ho jaise

dil ko ab muft liye phirta hun
pahle anmol raha ho jaise

baat yun karne laga hun 'nuri'
aaina bol raha ho jaise


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+