Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karrar Noori

  • Ghazal


teri hi tarah hamein yaad aane wala ho


tirī hī tarah hameñ yaad aane vaalā ho
tire sivā bhī koī to satāne vaalā ho

har ek sub.h yahī dil meñ huuk uThtī hai
hameñ bhī naaz se koī jagāne vaalā ho

vo kis umiid pe ghar meñ rahe ki jis ghar meñ
na aane vaalā ho koī na jaane vaalā ho

har ik se nazreñ milā.ī haiñ un ke kūche meñ
ki jaise ab koī ham ko bulāne vaalā ho

hai dostoñ ke liye aa.ina nazar merī
nazar milā.e jo nazreñ milāne vaalā ho

ki jaise koī balā mujh pe aane vaalī hai
hirās kahtā hai koī bachāne vaalā ho

chalūñ to saath chale aur rukūñ to saath na de
qadam qadam pe koī dil baḌhāne vaalā ho

kisī ko shahr meñ ab ham se laag hai na lagāo
koī to ham se bhī nazreñ bachāne vaalā ho

hamāre shahar meñ kyā kyā saje sajā.e haiñ ghar
hamāre ghar ko bhī koī sajāne vaalā ho

teri hi tarah hamein yaad aane wala ho
tere siwa bhi koi to satane wala ho

har ek subh yahi dil mein huk uThti hai
hamein bhi naz se koi jagane wala ho

wo kis umid pe ghar mein rahe ki jis ghar mein
na aane wala ho koi na jaane wala ho

har ek se nazren milai hain un ke kuche mein
ki jaise ab koi hum ko bulane wala ho

hai doston ke liye aaina nazar meri
nazar milae jo nazren milane wala ho

ki jaise koi bala mujh pe aane wali hai
hiras kahta hai koi bachane wala ho

chalun to sath chale aur rukun to sath na de
qadam qadam pe koi dil baDhane wala ho

kisi ko shahr mein ab hum se lag hai na lagao
koi to hum se bhi nazren bachane wala ho

hamare shahar mein kya kya saje sajae hain ghar
hamare ghar ko bhi koi sajaane wala ho


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+