jo be-ghar haiñ unheñ ghar kī duā detī haiñ dīvāreñ
phir apne saa.e meñ un ko sulā detī haiñ dīvāreñ
asīrī hī muqaddar hai to koī kyā kare āḳhir
muqayyad kar ke apne meñ sazā detī haiñ dīvāreñ
hamārī ziist meñ aise bhī lamhe aate haiñ aksar
darāroñ ke tavassut se havā detī haiñ dīvāreñ
mirī chīḳheñ fasīloñ se kabhī bāhar nahīñ jātīñ
shikasta ho ke girne par sadā detī haiñ dīvāreñ
mayassar ghar nahīñ jin ko jo rāhoñ meñ bhaTakte haiñ
'zafar' un ko makānoñ kā pata detī haiñ dīvāreñ
jo be-ghar hain unhen ghar ki dua deti hain diwaren
phir apne sae mein un ko sula deti hain diwaren
asiri hi muqaddar hai to koi kya kare aaKHir
muqayyad kar ke apne mein saza deti hain diwaren
hamari zist mein aise bhi lamhe aate hain aksar
dararon ke tawassut se hawa deti hain diwaren
meri chiKHen fasilon se kabhi bahar nahin jatin
shikasta ho ke girne par sada deti hain diwaren
mayassar ghar nahin jin ko jo rahon mein bhaTakte hain
'zafar' un ko makanon ka pata deti hain diwaren
Leave a comment