tārīkiyoñ meñ ham jo giraftār ho ga.e
shāyad sahar se pahle hī bedār ho ga.e
ye kaun sā maqām-e-rah-o-rasm hai ki vo
itne hue qarīb ki bezār ho ga.e
manzil kī samt tujh ko na le jā.eñge kabhī
vo rāste jo aap hī hamvār ho ga.e
nākāmiyoñ ne aur bhī sarkash banā diyā
itne hue zalīl ki ḳhuddār ho ga.e
ab ke to nok-e-ḳhār bhī gul-rañg ho chalī
kal dekhnā ki dasht bhī gulzār ho ga.e
'nūrī' hameñ jahāñ meñ masarrat kī thī talāsh
āḳhir har ek shaḳhs ke ġham-ḳhvār ho ga.e
tarikiyon mein hum jo giraftar ho gae
shayad sahar se pahle hi bedar ho gae
ye kaun sa maqam-e-rah-o-rasm hai ki wo
itne hue qarib ki bezar ho gae
manzil ki samt tujh ko na le jaenge kabhi
wo raste jo aap hi hamwar ho gae
nakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya
itne hue zalil ki KHuddar ho gae
ab ke to nok-e-KHar bhi gul-rang ho chali
kal dekhna ki dasht bhi gulzar ho gae
'nuri' hamein jahan mein masarrat ki thi talash
aaKHir har ek shaKHs ke gham-KHwar ho gae
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment