ab bhī āzād fazāoñ kā na imkāñ niklā
bāb-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindāñ niklā
itnā nazdīk mire tū bhī kabhī aa na sakā
jitnā nazdīk mire ye ġham-e-daurāñ niklā
un kī mahfil se maiñ le aayā tamannā un kī
log samjhe the ki maiñ be-sar-o-sāmāñ niklā
ruk ke ik ashk ne kyā kyā na jalāyā ham ko
dil kā sūraj bhī charāġh-e-tah-e-dāmāñ niklā
ham ne dekhā to koī ishq kā tālib hī na thā
ham ne pūchhā to har ik sāhab-e-īmāñ niklā
jab bhī mālūm kiyā apnī tabāhī kā sabab
apne hāthoñ meñ ḳhud apnā hī garebāñ niklā
ḳhud-numā.ī bhī ajab zulm hai 'nūrī' mujh par
haa.e vo vaqt ki maiñ ḳhud se gurezāñ niklā
ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla
bab-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindan nikla
itna nazdik mere tu bhi kabhi aa na saka
jitna nazdik mere ye gham-e-dauran nikla
un ki mahfil se main le aaya tamanna un ki
log samjhe the ki main be-sar-o-saman nikla
ruk ke ek ashk ne kya kya na jalaya hum ko
dil ka suraj bhi charagh-e-tah-e-daman nikla
hum ne dekha to koi ishq ka talib hi na tha
hum ne puchha to har ek sahab-e-iman nikla
jab bhi malum kiya apni tabahi ka sabab
apne hathon mein KHud apna hi gareban nikla
KHud-numai bhi ajab zulm hai 'nuri' mujh par
hae wo waqt ki main KHud se gurezan nikla
Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 516) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 ) Edition : 1967
Leave a comment