apnī taqdīr se baġhāvat kī
aaj ham ne bhī ik ibādat kī
kaun hai jis ke sar kī khā.eñ qasam
kis ne ham se yahāñ mohabbat kī
aur kyā hai ye ghar kā sannāTā
ek āvāz hai mohabbat kī
ham ko miTnā thā miT ga.e 'nūrī'
chaah meñ ek be-muravvat kī
apni taqdir se baghawat ki
aaj hum ne bhi ek ibaadat ki
kaun hai jis ke sar ki khaen qasam
kis ne hum se yahan mohabbat ki
aur kya hai ye ghar ka sannaTa
ek aawaz hai mohabbat ki
hum ko miTna tha miT gae 'nuri'
chah mein ek be-murawwat ki
Source: Book : Meri Gazal (Pg. 67) Author : karar Noori Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983) Edition : 1983
Leave a comment