Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karrar Noori

  • Ghazal


ek surat nazar aai thi abhi


ek sūrat nazar aa.ī thī abhī
dil ne tasvīr banā.ī thī abhī

kaun ho saktā hai aane vaalā
ek āvāz sī aa.ī thī abhī

ek sūrat thī ki dil hī dil meñ
ek sūrat se milā.ī thī abhī

sab kī āñkhoñ meñ nazar aane lagī
dil meñ sūrat jo chhupā.ī thī abhī

baat kahte hī zarā kho se ga.e
baat mushkil se banā.ī thī abhī

phir vafādār nazar aane lagā
bevafā jis se laḌā.ī thī abhī

saath apne vo ḳhudā thā shāyad
saath apne jo ḳhudā.ī thī abhī

ek surat nazar aai thi abhi
dil ne taswir banai thi abhi

kaun ho sakta hai aane wala
ek aawaz si aai thi abhi

ek surat thi ki dil hi dil mein
ek surat se milai thi abhi

sab ki aankhon mein nazar aane lagi
dil mein surat jo chhupai thi abhi

baat kahte hi zara kho se gae
baat mushkil se banai thi abhi

phir wafadar nazar aane laga
bewafa jis se laDai thi abhi

sath apne wo KHuda tha shayad
sath apne jo KHudai thi abhi


Source: Book : Meri Gazal (Pg. 75) Author : karar Noori Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+