Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karamat Bukhari

  • Ghazal


KHudi kam zindagi mein gham bahut hain


ḳhudī kam zindagī meñ ġham bahut haiñ
yahī hai imtihāñ to ham bahut haiñ

hamārā dard chehre se ayaañ hai
hamāre dard ke mahram bahut haiñ

huī hamvār kis se rāh-e-hastī
abhī tak is meñ pech o ḳham bahut haiñ

zarūrī to nahīñ ik fasl-e-gul ho
junūñ ke aur bhī mausam bahut haiñ

bahut haiñ rone vaale gulsitāñ par
sharīk-e-girya-e-shabnam bahut haiñ

mirī palkoñ pe raushan haiñ jo aañsū
mujhe ai dīda-e-pur-nam bahut haiñ

nahīñ ik ālam-e-shām-e-judā.ī
nazar meñ aur bhī aalam bahut haiñ

KHudi kam zindagi mein gham bahut hain
yahi hai imtihan to hum bahut hain

hamara dard chehre se ayan hai
hamare dard ke mahram bahut hain

hui hamwar kis se rah-e-hasti
abhi tak is mein pech o KHam bahut hain

zaruri to nahin ek fasl-e-gul ho
junun ke aur bhi mausam bahut hain

bahut hain rone wale gulsitan par
sharik-e-girya-e-shabnam bahut hain

meri palkon pe raushan hain jo aansu
mujhe ai dida-e-pur-nam bahut hain

nahin ek aalam-e-sham-e-judai
nazar mein aur bhi aalam bahut hain


Source: Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 184)

Leave a comment

+