Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karamat Bukhari

  • Ghazal


duniya ki is bhiD mein kho gae jaane kitne log


duniyā kī is bhiiḌ meñ kho ga.e jaane kitne log
in āñkhoñ se ojhal ho ga.e jaane kitne log

sadme sahte sahte saarī umreñ biit ga.iiñ
aur zamīñ ko oḌh ke so ga.e jaane kitne log

kuchh logoñ ke ghar meñ utrī ḳhushiyoñ kī bārāt
aur ġhamoñ ke bojh ko Dho ga.e jaane kitne log

vaqt ke is bahte dariyā meñ ḳhāmoshī ke saath
apnī naav aap Dubo ga.e jaane kitne log

ek nazar meñ us ne har ik dil ko jiit liyā
ek nazar meñ us ke ho ga.e jaane kitne log

ashkoñ kī barsāt meñ bah ga.ī mahjūrī kī raakh
apne dil ke daaġh ko dho ga.e jaane kitne log

duniya ki is bhiD mein kho gae jaane kitne log
in aankhon se ojhal ho gae jaane kitne log

sadme sahte sahte sari umren bit gain
aur zamin ko oDh ke so gae jaane kitne log

kuchh logon ke ghar mein utri KHushiyon ki baraat
aur ghamon ke bojh ko Dho gae jaane kitne log

waqt ke is bahte dariya mein KHamoshi ke sath
apni naw aap Dubo gae jaane kitne log

ek nazar mein us ne har ek dil ko jit liya
ek nazar mein us ke ho gae jaane kitne log

ashkon ki barsat mein bah gai mahjuri ki rakh
apne dil ke dagh ko dho gae jaane kitne log


Leave a comment

+