aaj ḳhalvat meñ ḳhudā yaad aayā
phir mujhe harf-e-duā yaad aayā
yaad na aane kā va.ada kar ke
vo to pahle se sivā yaad aayā
jab kahīñ phuul mahakte dekhe
phir tirā band-e-qabā yaad aayā
jab ghaTā.eñ kabhī ghir kar aa.iiñ
kyā batā.eñ hameñ kyā yaad aayā
yaad aa.ī tire chehre kī chamak
zulmat-e-shab meñ diyā yaad aayā
pyaas meñ jab huī paanī kī talab
vāqi.a-e-karb-o-balā yaad aayā
aaj KHalwat mein KHuda yaad aaya
phir mujhe harf-e-dua yaad aaya
yaad na aane ka wada kar ke
wo to pahle se siwa yaad aaya
jab kahin phul mahakte dekhe
phir tera band-e-qaba yaad aaya
jab ghaTaen kabhi ghir kar aain
kya bataen hamein kya yaad aaya
yaad aai tere chehre ki chamak
zulmat-e-shab mein diya yaad aaya
pyas mein jab hui pani ki talab
waqia-e-karb-o-bala yaad aaya
Source: Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 122) Author : Siddiqah Begum Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012) Edition : 2012
Leave a comment