milne kī jab baat huī thī
tanhā.ī bhī paas khaḌī thī
āñkhoñ meñ tūfān aayā thā
dil kī bastī Duub ga.ī thī
maiñ ki tere dhyān meñ gum thā
duniyā mujh ko DhūñDh rahī thī
ham donoñ ḳhāmosh khaḌe the
sāvan kī pur-zor jhaḌī thī
kosoñ duur mujhe jaanā thā
paañv meñ zanjīr paḌī thī
tum se judā.ī kā kyā ronā
ye to qismat meñ likkhī thī
ḳhvāboñ ke ik shahzāde se
niind kī devī ruuTh ga.ī thī
saarī umr sulagte guzrī
maiñ thā yā giilī lakḌī thī
milne ki jab baat hui thi
tanhai bhi pas khaDi thi
aankhon mein tufan aaya tha
dil ki basti Dub gai thi
main ki tere dhyan mein gum tha
duniya mujh ko DhunDh rahi thi
hum donon KHamosh khaDe the
sawan ki pur-zor jhaDi thi
koson dur mujhe jaana tha
panw mein zanjir paDi thi
tum se judai ka kya rona
ye to qismat mein likkhi thi
KHwabon ke ek shahzade se
nind ki dewi ruTh gai thi
sari umr sulagte guzri
main tha ya gili lakDi thi
Leave a comment