haath aa gayā hai jab se shu.ūr-e-ḳhudī kā saañp
siine pe loTtā hai ġham-e-zindagī kā saañp
apne badan se ḳhol anā kā utaar kar
phunkārtā hai shām-o-sahar āgahī kā saañp
maiñ kheltā huuñ us se magar jāntā huuñ ye
ik din mujhe Dasegā na.ī raushnī kā saañp
kyuuñ man kā mor pañkh na apne sameT le
āñgan meñ kheltā hai ġham-e-āshiqī kā saañp
mauj-e-sarāb kā bhī pata duur tak nahīñ
shiddat se Das rahā hai mujhe tishnagī kā saañp
tahzīb kā khañDar hai nigāhoñ ke sāmne
vo reñgtā hai dekhiye ik ḳhāmushī kā saañp
kyuuñ nīlkañTh ban ke na pī jā.ūñ us ko maiñ
jo zahr ugal rahā hai ġham-e-āgahī kā saañp
hath aa gaya hai jab se shuur-e-KHudi ka sanp
sine pe loTta hai gham-e-zindagi ka sanp
apne badan se KHol ana ka utar kar
phunkarta hai sham-o-sahar aagahi ka sanp
main khelta hun us se magar jaanta hun ye
ek din mujhe Dasega nai raushni ka sanp
kyun man ka mor pankh na apne sameT le
aangan mein khelta hai gham-e-ashiqi ka sanp
mauj-e-sarab ka bhi pata dur tak nahin
shiddat se Das raha hai mujhe tishnagi ka sanp
tahzib ka khanDar hai nigahon ke samne
wo rengta hai dekhiye ek KHamushi ka sanp
kyun nilkanTh ban ke na pi jaun us ko main
jo zahr ugal raha hai gham-e-agahi ka sanp
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment