Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Karamat Ali Karamat

  • Ghazal


jo nam sab se ho pyara use makan pe likh


jo naam sab se ho pyārā use makān pe likh
badan kī had se guzar aur is ko jaan pe likh

bajā hai karte haiñ paanī pe dastaḳhat sab log
jo hausla hai to naam apnā āsmān pe likh

tū likhne baiThā hai mere ḳhulūs kā qissa
yaqīn par nahīñ likhtā na likh gumān pe likh

sahīfa-e-dil-e-betāb kī na.ī tafsīr
qalam uThā aur use vaqt kī zabān pe likh

safar mudām safar hī to hai safar kā sila
tū apnā qissa-e-lā-samtiyat uḌaan pe likh

sañvār shāna-e-fan se tū zulf-e-qaus-e-quzah
tū zindagī ke ḳham-o-pech phir kamān pe likh

jo ''qul'' masūr pe likhte haiñ un kā fan hai judā
tū ḳhūn-e-dil se koī sher martabān pe likh

har ek chiiz yahāñ prem hī se miltī hai
ye ishtihār 'karāmat' tū har dukān pe likh

jo nam sab se ho pyara use makan pe likh
badan ki had se guzar aur is ko jaan pe likh

baja hai karte hain pani pe dastaKHat sab log
jo hausla hai to nam apna aasman pe likh

tu likhne baiTha hai mere KHulus ka qissa
yaqin par nahin likhta na likh guman pe likh

sahifa-e-dil-e-betab ki nai tafsir
qalam uTha aur use waqt ki zaban pe likh

safar mudam safar hi to hai safar ka sila
tu apna qissa-e-la-samtiyat uDan pe likh

sanwar shana-e-fan se tu zulf-e-qaus-e-quzah
tu zindagi ke KHam-o-pech phir kaman pe likh

jo qul masur pe likhte hain un ka fan hai juda
tu KHun-e-dil se koi sher martaban pe likh

har ek chiz yahan prem hi se milti hai
ye ishtihaar 'karamat' tu har dukan pe likh


Source: Book : Shakhe Sanobar (Pg. 201) Author : Karamat Ali Karamat Publication : Kamran Publications,Odisha (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+