Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kanval Ziai

  • Ghazal


roz falak se nam barsenge


roz falak se nam barseñge
pyaar ke bādal kam barseñge

maut ne āñchal jab lahrāyā
āñgan meñ mātam barseñge

qatra qatra ḳhuun kā ban kar
is dhartī par ham barseñge

zulf khulegī purvā.ī kī
gulshan par mausam barseñge

ab ke baras barsāt meñ bhaa.ī
dukh barseñge ġham barseñge

ban kar rusvā.ī ke aañsū
terī aañkh se ham barseñge

ham vo dīvāne haiñ jin par
patthar ab paiham barseñge

roz falak se nam barsenge
pyar ke baadal kam barsenge

maut ne aanchal jab lahraya
aangan mein matam barsenge

qatra qatra KHun ka ban kar
is dharti par hum barsenge

zulf khulegi purwai ki
gulshan par mausam barsenge

ab ke baras barsat mein bhai
dukh barsenge gham barsenge

ban kar ruswai ke aansu
teri aankh se hum barsenge

hum wo diwane hain jin par
patthar ab paiham barsenge


Leave a comment

+