raqs karte hue maiñ tujh ko manāyā kartī
dhuul hotī to kabhī dhuul uḌāyā kartī
kisī dhāge se bañdhā aatā agar tū mire paas
minnatoñ vaale diye roz jalāyā kartī
maiñ shajar-kārī ke mausam meñ ugātī koī peḌ
aur mohabbat se parindoñ ko bulāyā kartī
pūchhtā mujh se agar koī murādeñ saarī
maiñ tirā chehra tirā naam batāyā kartī
jhiil ke sūkhte paanī ko dilāse detī
aur bārish ke liye ashk bahāyā kartī
raqs karte hue main tujh ko manaya karti
dhul hoti to kabhi dhul uDaya karti
kisi dhage se bandha aata agar tu mere pas
minnaton wale diye roz jalaya karti
main shajar-kari ke mausam mein ugati koi peD
aur mohabbat se parindon ko bulaya karti
puchhta mujh se agar koi muraden sari
main tera chehra tera nam bataya karti
jhil ke sukhte pani ko dilase deti
aur barish ke liye ashk bahaya karti
Leave a comment