Subscribe to our newsletter and get our newest updates

kanval Dibaivi

  • Ghazal


gham ka izhaar bhi karne nahin deti duniya


ġham kā iz.hār bhī karne nahīñ detī duniyā
aur martā huuñ to marne nahīñ detī duniyā

sab hī mai-ḳhāna-e-hastī se piyā karte haiñ
mujh ko ik jaam bhī bharne nahīñ detī duniyā

āstāñ par tire ham sar ko jhukā to lete
sar se ye bojh utarne nahīñ detī duniyā

ham kabhī dair ke tālib haiñ kabhī kaaba ke
ek markaz pe Thaharne nahīñ detī duniyā

bijliyoñ se jo bachātā huuñ nasheman apnā
mujh ko aisā bhī to karne nahīñ detī duniyā

mundamil hone pe aa.eñ to chhiḌaktī hai namak
zaḳhm dil ke mire bharne nahīñ detī duniyā

merī koshish hai mohabbat se kināra kar luuñ
lekin aisā bhī to karne nahīñ detī duniyā

dene vāloñ ko hai duniyā se baġhāvat lāzim
dene vāloñ ko ubharne nahīñ detī duniyā

jis ne buniyād gulistāñ kī kabhī Daalī thī
us ko gulshan se guzarne nahīñ detī duniyā

ghuT ke mar jā.ūñ ye ḳhvāhish hai zamāne kī 'kañval'
aah bhartā huuñ to bharne nahīñ detī duniyā

gham ka izhaar bhi karne nahin deti duniya
aur marta hun to marne nahin deti duniya

sab hi mai-KHana-e-hasti se piya karte hain
mujh ko ek jam bhi bharne nahin deti duniya

aastan par tere hum sar ko jhuka to lete
sar se ye bojh utarne nahin deti duniya

hum kabhi dair ke talib hain kabhi kaba ke
ek markaz pe Thaharne nahin deti duniya

bijliyon se jo bachata hun nasheman apna
mujh ko aisa bhi to karne nahin deti duniya

mundamil hone pe aaen to chhiDakti hai namak
zaKHm dil ke mere bharne nahin deti duniya

meri koshish hai mohabbat se kinara kar lun
lekin aisa bhi to karne nahin deti duniya

dene walon ko hai duniya se baghawat lazim
dene walon ko ubharne nahin deti duniya

jis ne buniyaad gulistan ki kabhi Dali thi
us ko gulshan se guzarne nahin deti duniya

ghuT ke mar jaun ye KHwahish hai zamane ki 'kanwal'
aah bharta hun to bharne nahin deti duniya


Leave a comment

+