ma.arka ḳhatm huā jañg abhī jaarī hai
dil kī māneñ ki ḳhirad kī yahī dushvārī hai
koī pattā nahīñ hiltā hai na khultī hai zabāñ
aah phir se kisī tūfān kī tayyārī hai
kyuuñ na ye dekh ke bīnā.ī daġhā de jaa.e
shams par bhī abhī zulmat kā fusūñ taarī hai
ab ye hasrat bhī liye jaate haiñ dil kī dil meñ
ye to kah lete tirā tiir bahut kaarī hai
haa.e kam-zarfī-e-dil tū ne kahīñ kā na rakhā
aah ne kah diyā ta.azīr bahut bhārī hai
tere mashkūr haiñ hamdam kiyā vāzeh tū ne
fe.al-e-ġhārat-garī sayyād kī nā-chārī hai
vaqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpā kar de
hañs ke kah de ki ye in.ām-e-vafādārī hai
marka KHatm hua jang abhi jari hai
dil ki manen ki KHirad ki yahi dushwari hai
koi patta nahin hilta hai na khulti hai zaban
aah phir se kisi tufan ki tayyari hai
kyun na ye dekh ke binai dagha de jae
shams par bhi abhi zulmat ka fusun tari hai
ab ye hasrat bhi liye jate hain dil ki dil mein
ye to kah lete tera tir bahut kari hai
hae kam-zarfi-e-dil tu ne kahin ka na rakha
aah ne kah diya tazir bahut bhaari hai
tere mashkur hain hamdam kiya wazeh tu ne
feal-e-ghaarat-gari sayyaad ki na-chaari hai
waqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpa kar de
hans ke kah de ki ye inam-e-wafadari hai
Source: Book : Gunaah-e-sukhan (Pg. 76) Author : Kanti Mohan 'Soz' Publication : Kanti Mohan 'Soz' (1990) Edition : 1990
Leave a comment