Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamran Nadeem

  • Ghazal


nazar aata hai uThta jaan se dil se dhuan mujhko


nazar aatā hai uThtā jaan se dil se dhuāñ mujh ko
dayār-e-ishq meñ rahnā hai ik bār-e-garāñ mujh ko

sitam-pesha mire afsāna-e-ġham ko nahīñ suntā
so kahnā hai ba-andāz-e-hadīs-e-dīgarāñ mujh ko

savād-e-shām hai jalte hue ḳhemoñ kā manzar hai
yahīñ āvāz detī hai koī nok-e-sināñ mujh ko

mirī mauj-e-ravāñ kī sab ravānī ḳhatm kar degā
banā degā vo har unvān-e-umr-e-rā.egāñ mujh ko

hamesha duur se vo imtihān-e-shauq kartā hai
kabhī pahlū meñ bhī biThlā.e yār-e-mehrbāñ mujh ko

bharam rakhnā hai kuchh to izzat-e-sādāt kā āḳhir
ki ab hone lagī haiñ ishq meñ rusvā.iyāñ mujh ko

matā-e-naqd-e-jāñ ḳhud rāhzan kī nazr kar detā
agar maiñ jānñā lauTegā mīr-e-kārvāñ mujh ko

sunā āshob-e-vahshat aur fishār-e-zāt kā naġhma
'nadīm' ab kārvān-e-dard le aayā kahāñ mujh ko

nazar aata hai uThta jaan se dil se dhuan mujh ko
dayar-e-ishq mein rahna hai ek bar-e-garan mujh ko

sitam-pesha mere afsana-e-gham ko nahin sunta
so kahna hai ba-andaz-e-hadis-e-digaran mujh ko

sawad-e-sham hai jalte hue KHemon ka manzar hai
yahin aawaz deti hai koi nok-e-sinan mujh ko

meri mauj-e-rawan ki sab rawani KHatm kar dega
bana dega wo har unwan-e-umr-e-raegan mujh ko

hamesha dur se wo imtihan-e-shauq karta hai
kabhi pahlu mein bhi biThlae yar-e-mehrban mujh ko

bharam rakhna hai kuchh to izzat-e-sadat ka aaKHir
ki ab hone lagi hain ishq mein ruswaiyan mujh ko

mata-e-naqd-e-jaan KHud rahzan ki nazr kar deta
agar main jaanna lauTega mir-e-karwan mujh ko

suna aashob-e-wahshat aur fishaar-e-zat ka naghma
'nadim' ab karwan-e-dard le aaya kahan mujh ko


Source: Vahshat Hi Sahi

Leave a comment

+