Subscribe to our newsletter and get our newest updates

zafar iqbal zafar

  • Ghazal


aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen


aa.ina dekheñ na ham aks hī apnā dekheñ
jab bhī dekheñ to ham apne ko akelā dekheñ

mom ke log kaḌī dhuup meñ aa baiThe haiñ
aao ab un ke pighalne kā tamāshā dekheñ

tab ye ehsās hameñ hogā ki ye ḳhvāb hai sab
band āñkhoñ ko kareñ ḳhvāb kī duniyā dekheñ

baat karte haiñ to nashtar sā utar jaatā hai
ab vo lahje kī tamāzat kā ḳhasāra dekheñ

tū ne nazreñ na milāne kī qasam khaa.ī hai
aa.ina sāmne rakh kar tirā chehra dekheñ

koī bhī shai hasīñ lagtī nahīñ jab tere sivā
ye batā shahr meñ ham tere sivā kyā dekheñ

qatl aur ḳhuuñ ke manāzir haiñ jo bastī bastī
kaise insānoñ kī duniyā kā tamāsha dekheñ

itnā vīrānī se rishta hai 'zafar' apnā ab
ḳhvāb kī duniyā meñ bhī sahrā hī sahrā dekheñ

aaina dekhen na hum aks hi apna dekhen
jab bhi dekhen to hum apne ko akela dekhen

mom ke log kaDi dhup mein aa baiThe hain
aao ab un ke pighalne ka tamasha dekhen

tab ye ehsas hamein hoga ki ye KHwab hai sab
band aankhon ko karen KHwab ki duniya dekhen

baat karte hain to nashtar sa utar jata hai
ab wo lahje ki tamazat ka KHasara dekhen

tu ne nazren na milane ki qasam khai hai
aaina samne rakh kar tera chehra dekhen

koi bhi shai hasin lagti nahin jab tere siwa
ye bata shahr mein hum tere siwa kya dekhen

qatl aur KHun ke manazir hain jo basti basti
kaise insanon ki duniya ka tamasha dekhen

itna virani se rishta hai 'zafar' apna ab
KHwab ki duniya mein bhi sahra hi sahra dekhen


Leave a comment

+