Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kamal Ahmad Siddiqi

  • Ghazal


jin ankhDiyon mein na tha kuchh shararaton ke siwa


jin añkhḌiyoñ meñ na thā kuchh sharāratoñ ke sivā
un añkhḌiyoñ meñ nahīñ kuchh bhī hasratoñ ke sivā

laboñ pe mauj-e-tabassum kā ahd biit gayā
laboñ pe aaj nahīñ kuchh shikāyatoñ ke sivā

vo anjuman kā tasavvur kare to kaise kare
jise nasīb na ho kuchh bhī ḳhalvatoñ ke sivā

ik aa.ina huuñ junūn-o-ḳhirad kā ā.īna
mirī nazar meñ nahīñ kuchh bhī hairatoñ ke sivā

usī se pūchh mire intizār kā aalam
jise na kuchh bhī mayassar ho fursatoñ ke sivā

gudāz-e-sāġhar-o-paimāna kaun samjhā hai
mire sivā mire dil kī nazākatoñ ke sivā

kamī usī meñ tamannā.eñ jalva-gar thiiñ 'kamāl'
kuchh aaj dil meñ nahīñ hai jarāhatoñ ke sivā

jin ankhDiyon mein na tha kuchh shararaton ke siwa
un ankhDiyon mein nahin kuchh bhi hasraton ke siwa

labon pe mauj-e-tabassum ka ahd bit gaya
labon pe aaj nahin kuchh shikayaton ke siwa

wo anjuman ka tasawwur kare to kaise kare
jise nasib na ho kuchh bhi KHalwaton ke siwa

ek aaina hun junun-o-KHirad ka aaina
meri nazar mein nahin kuchh bhi hairaton ke siwa

usi se puchh mere intizar ka aalam
jise na kuchh bhi mayassar ho fursaton ke siwa

gudaz-e-saghar-o-paimana kaun samjha hai
mere siwa mere dil ki nazakaton ke siwa

kami usi mein tamannaen jalwa-gar thin 'kamal'
kuchh aaj dil mein nahin hai jarahaton ke siwa


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+