Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kalidas Gupta Raza

  • Ghazal


jidhar KHud gaya tha laga le gaya


jidhar ḳhud gayā thā lagā le gayā
na jaane kidhar rāstā le gayā

paḌā thā ki be-kār kī chiiz thā
mujhe raah se kaun uThā le gayā

koī de ke mujh ko shu.ūr-e-hayāt
mirā duur sabr-āzmā le gayā

gadā le gayā kab mire dar se bhiik
sadā mere lab kī churā le gayā

na pāmāl hone diyā sabr ne
gire āñsuoñ ko uThā le gayā

ḳhirad DhūñDhtī rah ga.ī vajah-e-ġham
mazā ġham kā dard āshnā le gayā

jidhar KHud gaya tha laga le gaya
na jaane kidhar rasta le gaya

paDa tha ki be-kar ki chiz tha
mujhe rah se kaun uTha le gaya

koi de ke mujh ko shuur-e-hayat
mera dur sabr-azma le gaya

gada le gaya kab mere dar se bhik
sada mere lab ki chura le gaya

na pamal hone diya sabr ne
gire aansuon ko uTha le gaya

KHirad DhunDhti rah gai wajah-e-gham
maza gham ka dard aashna le gaya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 jidhar KHud gaya tha laga le gaya Nomaan Shauque

Leave a comment

+