Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kalidas Gupta Raza

  • Ghazal


mera dil ek sulagta sa kuan kyun


mirā dil ik sulagtā sā kuaañ kyuuñ
yahāñ Thahrā hī kartā hai dhuāñ kyuuñ

vo ThanDī chhāñv peḌoñ kī vo jhoñke
vahāñ kyuuñ aap haiñ aur ham yahāñ kyuuñ

koī mālik koī maalī nahīñ kyā
chaman meñ is tarah pagDañDiyāñ kyuuñ

ik aañsū hī to Tapkā thā zamīñ par
vahīñ niklā tumhārā āstāñ kyuuñ

tavānā aarzū ham bhī tavānā
vo dublī kāñptī parchhā.iyāñ kyuuñ

jo lamhe uñgliyoñ se chhin chuke haiñ
abhī tak kah rahe haiñ dāstāñ kyuuñ

ḳhizāñ pal-bhar meñ aayā chāhtī hai
diye jaatī hai ḳhushbū loriyāñ kyuuñ

mera dil ek sulagta sa kuan kyun
yahan Thahra hi karta hai dhuan kyun

wo ThanDi chhanw peDon ki wo jhonke
wahan kyun aap hain aur hum yahan kyun

koi malik koi mali nahin kya
chaman mein is tarah pagDanDiyan kyun

ek aansu hi to Tapka tha zamin par
wahin nikla tumhaara aastan kyun

tawana aarzu hum bhi tawana
wo dubli kanpti parchhaiyan kyun

jo lamhe ungliyon se chhin chuke hain
abhi tak kah rahe hain dastan kyun

KHizan pal-bhar mein aaya chahti hai
diye jati hai KHushbu loriyan kyun


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+