Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kalidas Gupta Raza

  • Ghazal


aasman sa mujhe ghar de dena


āsmāñ sā mujhe ghar de denā
ḳhaak ho jā.ūñ to parde denā

sāmnā aaj anā se hogā
baat rakhnī hai to sar de denā

jaane kab se hai dhuñdlakoñ kā shikār
nuqte ko shams o qamar de denā

tālib-e-vaqt nahīñ huuñ lekin
maut tak chār-pahar de denā

jo pata pūchheñ mirā tum un ko
muTThī bhar gard-e-safar de denā

kal kā din be-ḳhabarī kā hogā
saare parchoñ meñ ḳhabar de denā

de diyā hai jo qalam hāthoñ meñ
ab suḳhan meñ bhī asar de denā

phir 'razā' jalva-numā hotā hai
man ke andhoñ ko nazar de denā

aasman sa mujhe ghar de dena
KHak ho jaun to parde dena

samna aaj ana se hoga
baat rakhni hai to sar de dena

jaane kab se hai dhundlakon ka shikar
nuqte ko shams o qamar de dena

talib-e-waqt nahin hun lekin
maut tak chaar-pahar de dena

jo pata puchhen mera tum un ko
muTThi bhar gard-e-safar de dena

kal ka din be-KHabari ka hoga
sare parchon mein KHabar de dena

de diya hai jo qalam hathon mein
ab suKHan mein bhi asar de dena

phir 'raza' jalwa-numa hota hai
man ke andhon ko nazar de dena


Leave a comment

+