hai inhīñ do nāmoñ se har ek afsāne kā naam
ek terā naam hai ik tere dīvāne kā naam
tujh se raushan hai charāġh-e-mahfil-e-dār-o-rasan
mujh se bhī is daur meñ zinda hai parvāne kā naam
terī zulf-o-chashm-o-lab kā naam hai merī ġhazal
terā andāz-e-suḳhan mere ġhazal gaane kā naam
chal usī andāz se haañ chal usī andāz se
shoḳhī-e-bād-e-sabā hai tere iThlāne kā naam
mauj-e-ḳhushbū-e-ġhazal be-rañgī-e-rū-e-ġhazal
ik tire aane kā hai naam ik tire jaane kā naam
zinda-e-jāved merī shā.irī ne kar diyā
naam tere gesuoñ kā aur mire shāne kā naam
phuul toḌe koī patthar ham ko maarā jaa.e hai
tū ne itnā kar diyā badnām dīvāne kā naam
ham haiñ 'ājiz' ābrū-e-bazm-e-yārān-e-ġhazal
ab isī ā.īne se hai ā.ina-ḳhāne kā naam
hai inhin do namon se har ek afsane ka nam
ek tera nam hai ek tere diwane ka nam
tujh se raushan hai charagh-e-mahfil-e-dar-o-rasan
mujh se bhi is daur mein zinda hai parwane ka nam
teri zulf-o-chashm-o-lab ka nam hai meri ghazal
tera andaz-e-suKHan mere ghazal gane ka nam
chal usi andaz se han chal usi andaz se
shoKHi-e-baad-e-saba hai tere iThlane ka nam
mauj-e-KHushbu-e-ghazal be-rangi-e-ru-e-ghazal
ek tere aane ka hai nam ek tere jaane ka nam
zinda-e-jawed meri shairi ne kar diya
nam tere gesuon ka aur mere shane ka nam
phul toDe koi patthar hum ko mara jae hai
tu ne itna kar diya badnam diwane ka nam
hum hain 'ajiz' aabru-e-bazm-e-yaran-e-ghazal
ab isi aaine se hai aaina-KHane ka nam
Source: Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 310) Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990) Edition : 1990
Leave a comment