jis ne nafrat hī mujhe dī na 'zafar' pyaar diyā
maiñ ne sab kuchh use kyuuñ haar diyā vaar diyā
ik nazar nisf nazar shoḳh ne Daalī dil par
aur is dasht ko pairāya-e-gulzār diyā
vaqt zaa.e na karo ham nahīñ aise vaise
ye ishāra to mujhe us ne ka.ī baar diyā
zinda rakhtā thā mujhe shakl dikhā kar apnī
kahīñ rū-posh huā aur mujhe maar diyā
koī is baat ko taslīm kare yā na kare
sub.h kī sair ne mujh ko dil bīmār diyā
zardiyāñ haiñ mire chehre pe 'zafar' us ghar kī
us ne āḳhir mujhe rañg-e-dar-o-dīvār diyā
jis ne nafrat hi mujhe di na 'zafar' pyar diya
main ne sab kuchh use kyun haar diya war diya
ek nazar nisf nazar shoKH ne Dali dil par
aur is dasht ko pairaya-e-gulzar diya
waqt zae na karo hum nahin aise waise
ye ishaara to mujhe us ne kai bar diya
zinda rakhta tha mujhe shakl dikha kar apni
kahin ru-posh hua aur mujhe mar diya
koi is baat ko taslim kare ya na kare
subh ki sair ne mujh ko dil bimar diya
zardiyan hain mere chehre pe 'zafar' us ghar ki
us ne aaKHir mujhe rang-e-dar-o-diwar diya
Leave a comment