ham ko to ḳhair pahuñchnā thā jahāñ tak pahuñche
jo hameñ rok rahe the vo kahāñ tak pahuñche
fasl-e-gul tak rahe yā daur-e-ḳhizāñ tak pahuñche
baat jab niklī hai muñh se to jahāñ tak pahuñche
mere ash.ār meñ hai husn-e-ma.ānī kī talāsh
log ab tak na mire dard-e-nihāñ tak pahuñche
mujh ko rahne do mire dard kī lazzat meñ ḳhamosh
ye vo afsāna nahīñ hai jo zabāñ tak pahuñche
terī zulfoñ kī ghanī chhāñv kise miltī hai
kis kī taqdīr-e-rasā hai ki vahāñ tak pahuñche
manzil-e-dār-o-rasan bhī hai ruḳh-o-zulf ke ba.ad
dekhiye shauq hameñ le ke kahāñ tak pahuñche
tarjumāñ apnā banāyā hai mujhe rindoñ ne
kaash āvāz mirī pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
aap ke mashġhalā-e-sher-o-suḳhan se 'ājiz'
kaam to kuchh na huā naam jahāñ tak pahuñche
hum ko to KHair pahunchna tha jahan tak pahunche
jo hamein rok rahe the wo kahan tak pahunche
fasl-e-gul tak rahe ya daur-e-KHizan tak pahunche
baat jab nikli hai munh se to jahan tak pahunche
mere ashaar mein hai husn-e-maani ki talash
log ab tak na mere dard-e-nihan tak pahunche
mujh ko rahne do mere dard ki lazzat mein KHamosh
ye wo afsana nahin hai jo zaban tak pahunche
teri zulfon ki ghani chhanw kise milti hai
kis ki taqdir-e-rasa hai ki wahan tak pahunche
manzil-e-dar-o-rasan bhi hai ruKH-o-zulf ke baad
dekhiye shauq hamein le ke kahan tak pahunche
tarjuman apna banaya hai mujhe rindon ne
kash aawaz meri pir-e-mughan tak pahunche
aap ke mashghala-e-sher-o-suKHan se 'ajiz'
kaam to kuchh na hua nam jahan tak pahunche
Source: Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 141) Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990) Edition : 1990
Leave a comment