Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Aajiz

  • Ghazal


meri masti ke afsane rahenge


mirī mastī ke afsāne raheñge
jahāñ gardish meñ paimāne raheñge

nikāle jā.eñge ahl-e-mohabbat
ab is mahfil meñ begāne raheñge

yahī andāz-e-mai-noshī rahegā
to ye shīshe na paimāne raheñge

rahegā silsila dār-o-rasan kā
jahāñ do chaar dīvāne raheñge

jinheñ gulshan meñ Thukrāyā gayā hai
unhī phūloñ ke afsāne raheñge

ḳhirad zanjīr pahnātī rahegī
jo dīvāne haiñ dīvāne raheñge

meri masti ke afsane rahenge
jahan gardish mein paimane rahenge

nikale jaenge ahl-e-mohabbat
ab is mahfil mein begane rahenge

yahi andaz-e-mai-noshi rahega
to ye shishe na paimane rahenge

rahega silsila dar-o-rasan ka
jahan do chaar diwane rahenge

jinhen gulshan mein Thukraya gaya hai
unhi phulon ke afsane rahenge

KHirad zanjir pahnati rahegi
jo diwane hain diwane rahenge


Leave a comment

+