Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaleem Aajiz

  • Ghazal


munh faqiron se na phera chahiye


muñh faqīroñ se na pherā chāhiye
ye to pūchhā chāhiye kyā chāhiye

chaah kā meyār ūñchā chāhiye
jo na chāheñ un ko chāhā chāhiye

kaun chāhe hai kisī ko be-ġharaz
chāhne vāloñ se bhāgā chāhiye

ham to kuchh chāhe haiñ tum chāho ho kuchh
vaqt kyā chāhe hai dekhā chāhiye

chāhte haiñ tere hī dāman kī ḳhair
ham haiñ dīvāne hameñ kyā chāhiye

be-ruḳhī bhī naaz bhī andāz bhī
chāhiye lekin na itnā chāhiye

ham jo kahnā chāhte haiñ kyā kaheñ
aap kah liije jo kahnā chāhiye

baat chāhe be-salīqa ho 'kalīm'
baat kahne kā salīqa chāhiye

munh faqiron se na phera chahiye
ye to puchha chahiye kya chahiye

chah ka meyar uncha chahiye
jo na chahen un ko chaha chahiye

kaun chahe hai kisi ko be-gharaz
chahne walon se bhaga chahiye

hum to kuchh chahe hain tum chaho ho kuchh
waqt kya chahe hai dekha chahiye

chahte hain tere hi daman ki KHair
hum hain diwane hamein kya chahiye

be-ruKHi bhi naz bhi andaz bhi
chahiye lekin na itna chahiye

hum jo kahna chahte hain kya kahen
aap kah lije jo kahna chahiye

baat chahe be-saliqa ho 'kalim'
baat kahne ka saliqa chahiye


Leave a comment

+