kū-e-qātil hai magar jaane ko jī chāhe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko jī chāhe hai
log apne dar-o-dīvār se hoshiyār raheñ
aaj dīvāne kā ghar jaane ko jī chāhe hai
dard aisā hai ki jī chāhe hai zinda rahiye
zindagī aisī ki mar jaane ko jī chāhe hai
dil ko zaḳhmoñ ke sivā kuchh na diyā phūloñ ne
ab to kāñToñ meñ utar jaane ko jī chāhe hai
chhāñv va.adoñ kī hai bas dhokā hī dhokā ai dil
mat Thahar garche Thahar jaane ko jī chāhe hai
zindagī meñ hai vo uljhan ki pareshāñ ho kar
zulf kī tarah bikhar jaane ko jī chāhe hai
qatl karne kī adā bhī hasīñ qātil bhī hasīñ
na bhī marnā ho to mar jaane ko jī chāhe hai
jī ye chāhe hai ki pūchhūñ kabhī un zulfoñ se
kyā tumhārā bhī sañvar jaane ko jī chāhe hai
rasan-o-dār idhar kākul-o-ruḳhsār udhar
dil batā terā kidhar jaane ko jī chāhe hai
ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai
log apne dar-o-diwar se hoshiyar rahen
aaj diwane ka ghar jaane ko ji chahe hai
dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai
dil ko zaKHmon ke siwa kuchh na diya phulon ne
ab to kanTon mein utar jaane ko ji chahe hai
chhanw wadon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil
mat Thahar garche Thahar jaane ko ji chahe hai
zindagi mein hai wo uljhan ki pareshan ho kar
zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai
qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin
na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai
ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se
kya tumhaara bhi sanwar jaane ko ji chahe hai
rasan-o-dar idhar kakul-o-ruKHsar udhar
dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai
Source: Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 233) Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990) Edition : 1990
Leave a comment