ai but haiñ husn meñ tirī mash.hūr piñDliyāñ
aisī kahāñ se laa.e parī huur piñDliyāñ
mumkin nahīñ ki yuuñ to kisī kī nazar paḌe
khul jaa.eñ niiñd meñ to haiñ ma.azūr piñDliyāñ
bedāriyoñ meñ aa.iiñ nazar ye to hai muhāl
maḳhfī haiñ vaqt-e-ḳhvāb ba-dastūr piñDliyāñ
tābāñ misāl-e-sham.a haiñ fānūs-e-nūr se
har-chand pā.ichoñ meñ haiñ mastūr piñDliyāñ
ai 'nādir' un ke husn kī tārīf kyā likhūñ
sham-e-lagan se baḌh ke haiñ pur-nūr piñDliyāñ
ai but hain husn mein teri mashhur pinDliyan
aisi kahan se lae pari hur pinDliyan
mumkin nahin ki yun to kisi ki nazar paDe
khul jaen nind mein to hain mazur pinDliyan
bedariyon mein aain nazar ye to hai muhaal
maKHfi hain waqt-e-KHwab ba-dastur pinDliyan
taban misal-e-shama hain fanus-e-nur se
har-chand paichon mein hain mastur pinDliyan
ai 'nadir' un ke husn ki tarif kya likhun
sham-e-lagan se baDh ke hain pur-nur pinDliyan
Source: Intikhab-e-Sukhan(Volume-009)
Leave a comment