dil āñkhoñ se āshiq bachā.e hue haiñ
hiran ko vo chītā banā.e hue haiñ
nahīñ likhte haiñ ḳhat jo ham ko vo qāsid
kisī ke sikhā.e paḌhāye hue haiñ
na ḳhanjar uThegā na talvār un se
vo baazū mire āzmā.e hue haiñ
agar un ko puujā to kyā kufr hogā
ki but bhī ḳhudā ke banā.e hue haiñ
koī bāñdho na bāñdhe ab kuchh na hogā
ki ham rañg apnā jamā.e hue haiñ
hazaj meñ bhī ash.ār ai 'nādir' ab paḌh
ki bazm-e-suḳhan meñ sab aa.e hue haiñ
dil aankhon se aashiq bachae hue hain
hiran ko wo chita banae hue hain
nahin likhte hain KHat jo hum ko wo qasid
kisi ke sikhae paDhaye hue hain
na KHanjar uThega na talwar un se
wo bazu mere aazmae hue hain
agar un ko puja to kya kufr hoga
ki but bhi KHuda ke banae hue hain
koi bandho na bandhe ab kuchh na hoga
ki hum rang apna jamae hue hain
hazaj mein bhi ashaar ai 'nadir' ab paDh
ki bazm-e-suKHan mein sab aae hue hain
Source: Intikhab-e-Sukhan(Volume-009)
Leave a comment