Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Wijdani

  • Ghazal


tu ek qadam bhi jo meri taraf baDha deta


tū ik qadam bhī jo merī taraf baḌhā detā
maiñ manzileñ tirī dahlīz se milā detā

ḳhabar to detā mujhe mujh ko chhoḌ jaane kī
maiñ vāpsī kā tujhe rāsta batā detā

mujhe to rahnā thā āḳhir had-e-ta.ayyun meñ
vo paas aatā to maiñ fāsla baḌhā detā

ham ek the to hameñ be-sadā hī rahnā thā
pukārtā vo kise maiñ kise sadā detā

vo ḳhvāb dekh rahī thiiñ ye jāgtī āñhkeñ
charāg ḳhud nahīñ bujhtā to maiñ bujhā detā

havā ke ruḳh pe mirā gaañv hī na thā varna
jo muTThiyoñ meñ bharī thī vo ḳhaak uḌā detā

tu ek qadam bhi jo meri taraf baDha deta
main manzilen teri dahliz se mila deta

KHabar to deta mujhe mujh ko chhoD jaane ki
main wapsi ka tujhe rasta bata deta

mujhe to rahna tha aaKHir had-e-tayyun mein
wo pas aata to main fasla baDha deta

hum ek the to hamein be-sada hi rahna tha
pukarta wo kise main kise sada deta

wo KHwab dekh rahi thin ye jagti aanhken
charag KHud nahin bujhta to main bujha deta

hawa ke ruKH pe mera ganw hi na tha warna
jo muTThiyon mein bhari thi wo KHak uDa deta


Source: Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 9) Edition : 2001

Leave a comment

+