Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Hyderabadi

  • Ghazal


tariq-e-ishq mein dekha hai kya kahen kyun-kar


tarīq-e-ishq meñ dekhā hai kyā kaheñ kyūñ-kar
hamārī aañkh khulī hai maqām-e-hairat meñ

agar ḳhalal hai to zāhid mire dimāġh meñ hai
hazār shukr nahīñ hai futūr niyyat meñ

buland o past kī us ke kuchh intihā hī nahīñ
ajiib chiiz hai insān bhī haqīqat meñ

ye bazm-e-ġhair hai 'kaifī' kidhar ga.e haiñ havās
kahāñ tum aa ga.e kyā aa ga.ī tabī.at meñ

tariq-e-ishq mein dekha hai kya kahen kyun-kar
hamari aankh khuli hai maqam-e-hairat mein

agar KHalal hai to zahid mere dimagh mein hai
hazar shukr nahin hai futur niyyat mein

buland o past ki us ke kuchh intiha hi nahin
ajib chiz hai insan bhi haqiqat mein

ye bazm-e-ghair hai 'kaifi' kidhar gae hain hawas
kahan tum aa gae kya aa gai tabiat mein


Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 259) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+