vo umañgeñ haiñ na vo dil hai na ab vo josh hai
husn bār-e-chashm hai naġhma vabāl-e-gosh hai
maiñ kahūñ to kyā kahūñ ab vo kahe to kyā kahe
de ke dil ḳhāmosh huuñ vo le ke dil ḳhāmosh hai
ai vafūr-e-shādmānī ye samajh lene to de
kyā hamīñ haiñ jis se vo ham-bazm ham-āġhosh hai
is taraf dil par jigar par us taraf rahtā hai haath
apnī har karvaT meñ ik ma.ashūq ham-āġhosh hai
taar is kā TūTne paa.e na 'kaifī' hashr tak
dāman-e-ashk-e-nadāmat jurm-e-isyāñ-posh hai
wo umangen hain na wo dil hai na ab wo josh hai
husn bar-e-chashm hai naghma wabaal-e-gosh hai
main kahun to kya kahun ab wo kahe to kya kahe
de ke dil KHamosh hun wo le ke dil KHamosh hai
ai wafur-e-shadmani ye samajh lene to de
kya hamin hain jis se wo ham-bazm ham-aghosh hai
is taraf dil par jigar par us taraf rahta hai hath
apni har karwaT mein ek mashuq ham-aghosh hai
tar is ka TuTne pae na 'kaifi' hashr tak
daman-e-ashk-e-nadamat jurm-e-isyan-posh hai
Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 260) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983
Leave a comment