Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Azmi

  • Ghazal


kahin se lauT ke hum laDkhaDae hain kya kya


kahīñ se lauT ke ham laḌkhaḌā.e haiñ kyā kyā
sitāre zer-e-qadam raat aa.e haiñ kyā kyā

nasheb-e-hastī se afsos ham ubhar na sake
farāz-e-dār se paiġhām aa.e haiñ kyā kyā

jab us ne haar ke ḳhanjar zamīñ pe pheñk diyā
tamām zaḳhm-e-jigar muskurā.e haiñ kyā kyā

chhaTā jahāñ se us āvāz kā ghanā bādal
vahīñ se dhuup ne talve jalā.e haiñ kyā kyā

uThā ke sar mujhe itnā to dekh lene de
ki qatl-gāh meñ dīvāne aa.e haiñ kyā kyā

kahīñ añdhere se mānūs ho na jaa.e adab
charāġh tez havā ne bujhā.e haiñ kyā kyā

kahin se lauT ke hum laDkhaDae hain kya kya
sitare zer-e-qadam raat aae hain kya kya

nasheb-e-hasti se afsos hum ubhar na sake
faraaz-e-dar se paigham aae hain kya kya

jab us ne haar ke KHanjar zamin pe phenk diya
tamam zaKHm-e-jigar muskurae hain kya kya

chhaTa jahan se us aawaz ka ghana baadal
wahin se dhup ne talwe jalae hain kya kya

uTha ke sar mujhe itna to dekh lene de
ki qatl-gah mein diwane aae hain kya kya

kahin andhere se manus ho na jae adab
charagh tez hawa ne bujhae hain kya kya

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 kahin se lauT ke hum laDkhaDae hain kya kya Nomaan Shauque

Leave a comment

+