haath aa kar lagā gayā koī
merā chhappar uThā gayā koī
lag gayā ik mashīn meñ maiñ bhī
shahr meñ le ke aa gayā koī
maiñ khaḌā thā ki piiTh par merī
ishtihār ik lagā gayā koī
ye sadī dhuup ko tarastī hai
jaise sūraj ko khā gayā koī
aisī mahñgā.ī hai ki chehra bhī
bech ke apnā khā gayā koī
ab vo armān haiñ na vo sapne
sab kabūtar uḌā gayā koī
vo ga.e jab se aisā lagtā hai
chhoTā moTā ḳhudā gayā koī
merā bachpan bhī saath le aayā
gaañv se jab bhī aa gayā koī
hath aa kar laga gaya koi
mera chhappar uTha gaya koi
lag gaya ek mashin mein main bhi
shahr mein le ke aa gaya koi
main khaDa tha ki piTh par meri
ishtihaar ek laga gaya koi
ye sadi dhup ko tarasti hai
jaise suraj ko kha gaya koi
aisi mahngai hai ki chehra bhi
bech ke apna kha gaya koi
ab wo arman hain na wo sapne
sab kabutar uDa gaya koi
wo gae jab se aisa lagta hai
chhoTa moTa KHuda gaya koi
mera bachpan bhi sath le aaya
ganw se jab bhi aa gaya koi
RECITATIONS
Nomaan Shauque
Kaifi Azmi
00:00/00:00
hath aa kar laga gaya koi
Nomaan Shauque
Leave a comment