Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


ab sochta hun jaun to jaun kidhar ko main


ab sochtā huuñ jā.ūñ to jā.ūñ kidhar ko maiñ
ai kaash chhoḌtā na tirī rahguzar ko maiñ

dil ġham kā aa.ina hai nazar dil kā aa.ina
kaise chhupā.ūñ soz-e-nihāñ ke asar ko maiñ

aalam tamām ek fareb-e-nigāh hai
ab kyā dikhā.ūñ chashm-e-haqīqat-nigar ko maiñ

mad.hoshiyoñ meñ TuuT gayā dil kā aa.ina
ab kaise muñh dikhā.ūñgā ā.īna-gar ko maiñ

un kī nazar ḳhudā na kare munfa.il ho 'kaif'
dekhūñ na kaash jazba-e-ġham ke asar ko maiñ

ab sochta hun jaun to jaun kidhar ko main
ai kash chhoDta na teri rahguzar ko main

dil gham ka aaina hai nazar dil ka aaina
kaise chhupaun soz-e-nihan ke asar ko main

aalam tamam ek fareb-e-nigah hai
ab kya dikhaun chashm-e-haqiqat-nigar ko main

madhoshiyon mein TuT gaya dil ka aaina
ab kaise munh dikhaunga aaina-gar ko main

un ki nazar KHuda na kare munfail ho 'kaif'
dekhun na kash jazba-e-gham ke asar ko main


Leave a comment

+