Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Moradaabadi

  • Ghazal


junun-e-ishq kisi ko bhi yun na ras aae


junūn-e-ishq kisī ko bhī yuuñ na raas aa.e
vo mere paas to aa.e magar udaas aa.e

jise hayāt kisī ruḳh se bhī na raas aa.e
kisī ke paas na jaa.e hamāre paas aa.e

vahāñ se jald guzar jaa.eñ rahravān-e-hayāt
jahāñ bhī raah meñ koī maqām-e-yās aa.e

firāq-o-vasl kī rūdād muḳhtasar ye hai
kabhī vo paas se guzre kabhī vo paas aa.e

kuchh aise log bhī dekhe jo bazm-e-jānāñ meñ
udaas udaas ga.e aur udaas udaas aa.e

ye iztirāb nahīñ ne.amat-e-musalsal hai
ḳhudā kare koī aalam mujhe na raas aa.e

kisī ne ek ishāre ko bhī nahīñ samjhā
huzūr dost bahut se adā-shanās aa.e

ġham-e-hayāt-o-ġham-e-dahr baḳhshne vaale
ik aisā ġham bhī atā kar jo dil ko raas aa.e

adab meñ 'kaif' kā dam bhī bahut ġhanīmat hai
muhāl hai ki ab aisā suḳhan-shanās aa.e

junun-e-ishq kisi ko bhi yun na ras aae
wo mere pas to aae magar udas aae

jise hayat kisi ruKH se bhi na ras aae
kisi ke pas na jae hamare pas aae

wahan se jald guzar jaen rahrawan-e-hayat
jahan bhi rah mein koi maqam-e-yas aae

firaq-o-wasl ki rudad muKHtasar ye hai
kabhi wo pas se guzre kabhi wo pas aae

kuchh aise log bhi dekhe jo bazm-e-jaanan mein
udas udas gae aur udas udas aae

ye iztirab nahin neamat-e-musalsal hai
KHuda kare koi aalam mujhe na ras aae

kisi ne ek ishaare ko bhi nahin samjha
huzur dost bahut se ada-shanas aae

gham-e-hayat-o-gham-e-dahr baKHshne wale
ek aisa gham bhi ata kar jo dil ko ras aae

adab mein 'kaif' ka dam bhi bahut ghanimat hai
muhaal hai ki ab aisa suKHan-shanas aae


Leave a comment

+