ġham ne diloñ ko raam kiyā aur guzar gayā
zālim ne apnā kaam kiyā aur guzar gayā
sayyād kuchh to ḳhātir-e-ahal-e-vafā kare
ye kyā asīr-e-dām kiyā aur guzar gayā
ai sāqī-e-bahār tire zauq ke nisār
har gul ko ek jaam kiyā aur guzar gayā
aayā thā but-kada bhī mirī rāh-e-shauq meñ
maiñ ne to ik salām kiyā aur guzar gayā
ye kā.enāt hai ki kisī ne ba-sad hijāb
ik ḳhaas jalva aam kiyā aur guzar gayā
aayā qarīb 'kaif' koī mast-e-nāz-e-husn
Daalī nazar ġhulām kiyā aur guzar gayā
gham ne dilon ko ram kiya aur guzar gaya
zalim ne apna kaam kiya aur guzar gaya
sayyaad kuchh to KHatir-e-ahal-e-wafa kare
ye kya asir-e-dam kiya aur guzar gaya
ai saqi-e-bahaar tere zauq ke nisar
har gul ko ek jam kiya aur guzar gaya
aaya tha but-kada bhi meri rah-e-shauq mein
main ne to ek salam kiya aur guzar gaya
ye kaenat hai ki kisi ne ba-sad hijab
ek KHas jalwa aam kiya aur guzar gaya
aaya qarib 'kaif' koi mast-e-naz-e-husn
Dali nazar ghulam kiya aur guzar gaya
Leave a comment