Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Ikrami

  • Ghazal


mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho


mire āñsuoñ pe nazar na kar mirā shikva sun ke ḳhafā na ho
use zindagī kā bhī haq nahīñ jise dard-e-ishq milā na ho

ye ināyateñ ye navāzisheñ mire dard-e-dil kī davā nahīñ
mujhe us nazar kī talāsh hai jo adā-shanās-e-vafā na ho

tujhe kyā batā.ūñ maiñ be-ḳhabar ki hai dard-e-ishq meñ kyā asar
ye hai vo latīf sī kaifiyat jo zabāñ tak aa.e adā na ho

ye sharāb zer-e-hasīñ-ghaTā jo hai 'kaif' nāzish-e-mai-kada
kisī tishna-kām kī aarzū kisī tishna-lab kī duā na ho

mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho
use zindagi ka bhi haq nahin jise dard-e-ishq mila na ho

ye inayaten ye nawazishen mere dard-e-dil ki dawa nahin
mujhe us nazar ki talash hai jo ada-shanas-e-wafa na ho

tujhe kya bataun main be-KHabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar
ye hai wo latif si kaifiyat jo zaban tak aae ada na ho

ye sharab zer-e-hasin-ghaTa jo hai 'kaif' nazish-e-mai-kada
kisi tishna-kaam ki aarzu kisi tishna-lab ki dua na ho


Source: Book : Junoon (Pg. 140) Author : Naseem Muqri Publication : Naseem Muqri (1990) Edition : 1990

Leave a comment

+