Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Bhopali

  • Ghazal


na aaya maza shab ki tanhaiyon mein


na aayā maza shab kī tanhā.iyoñ meñ
sahar ho ga.ī chand añgḌā.iyoñ meñ

na rañgīniyoñ meñ na rānā.iyoñ meñ
nazar ghir ga.ī apnī parchhā.iyoñ meñ

mujhe muskurā muskurā kar na dekho
mire saath tum bhī ho rusvā.iyoñ meñ

ġhazab ho gayā un kī mahfil se aanā
ghirā jā rahā huuñ tamāshā.iyoñ meñ

mohabbat hai yā aaj tark-e-mohabbat
zarā mil to jaa.eñ vo tanhā.iyoñ meñ

idhar aao tum ko nazar lag na jaa.e
chhupā luuñ tumheñ dil kī gahrā.iyoñ meñ

are sunñe vaalo ye naġhme nahīñ haiñ
mire dil kī chīḳheñ haiñ shahnā.iyoñ meñ

vo ai 'kaif' jis din se mere hue haiñ
to saarā zamāna hai shaidā.iyoñ meñ

na aaya maza shab ki tanhaiyon mein
sahar ho gai chand angDaiyon mein

na ranginiyon mein na ranaiyon mein
nazar ghir gai apni parchhaiyon mein

mujhe muskura muskura kar na dekho
mere sath tum bhi ho ruswaiyon mein

ghazab ho gaya un ki mahfil se aana
ghira ja raha hun tamashaiyon mein

mohabbat hai ya aaj tark-e-mohabbat
zara mil to jaen wo tanhaiyon mein

idhar aao tum ko nazar lag na jae
chhupa lun tumhein dil ki gahraiyon mein

are sunne walo ye naghme nahin hain
mere dil ki chiKHen hain shahnaiyon mein

wo ai 'kaif' jis din se mere hue hain
to sara zamana hai shaidaiyon mein

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 na aaya maza shab ki tanhaiyon mein Nomaan Shauque

Leave a comment

+